
Ruhani ke jaane ke baad ghar me ek ajeeb sa sannata pasarr gaya tha. Amit ka sar ghoom raha tha. Use samajh nahi aa raha tha ki situation ko kaise sambhale. Ruhani ka gussa jaayaz tha, par agar yeh baat ghar ke baki logon tak ya Tushar tak pahunch jati, toh poora parivar bikhar jata.
Amit ne decided kiya ki use Ruhani ke mayke jakar use manana hi padega, isse pehle ki baat haath se nikal jaye. Usne gaadi nikali aur dharakate dil ke sath Ruhani ke ghar ki taraf nikal pada.











Write a comment ...